Tuesday 31 January 2017

Hazrat Rabi bin Suleman [Alaih Rahmat-o-Ridhwan] Ke Hajj Ka Waqya

Hazrat Rabi bin Suleman [Alaih Rahmat-o-Ridhwan] Ke Hajj Ka Waqya

.
.
.

Hazrat Rabi Bin Suleman (alaih rahmaann), Allah k Ek Wali Guzre Hain, Un Ka ye intehayi
pyara waqya hy;
.
.
.
Hazrat rabi bin Suleman (alaih rahmaan) farmate hain," Main apne Bhai k sath hajj
k safar par rawaa(nn)-dawaa(nn) tha,

Kaafiley Hajj k liye ja rahe thhe,
.
.

Hamara Kaarwaa(nn) Kuufa pahunchta hy,

.
Saamane safar khareedney k liye main bazaar jaata hun;
.
.
Aap farmate hain,"Achanak main ek ajeeb o gareeb manzar dekhta hun,

.
maine ek marey huye(Died) khachchar ko dekha, Uske kareeb ek AURAT thhi,

.
Uss AURAT k haath mein chaaku (Knife) thha,

Wo aurat uss khachchar ka gosht kaat kar
ek thaili mein daal rahi thhi"
.
.
Aap farmate hain,"main hairaan k ye "murdaar" ka ghosht kaat kar thaili mein kyu
daal rahi hy,

maine uss ka TA'AQQUDD kiya,

maine uss ka peechha kiya,

chunn-ke Islaam mein murdaar khaana haraam hy,

kahin ye ghosht kisi ko bech na de.
.
.

.
Hazrat Rabi bin Sulemaan (alaih rahmaann) farmaate hain,"maine uss ka peechha kiya
main uss k peechhey jaata raha ,

.

Maine dekha k wo aurat ek Badey Ghar k saamne jaati
hy,

jis ka darwaaza bahut taweel thha,

bahot buland tha bahot daraaz thha,

Aurat ne darwaazey par dastak di,

Andar se aawaaz aayi ,
.
"KAUN HY , KAUN HY"
.
Uss aurat ne jawab
diya,
.
"main hi hun, musibat ki maari badhaal darwaaza kholo".
.
Jab andar se darwaza khola gaya to andar 4 ladkiyaann thhii(nn).
.
wo aurat ladkiyo ko uss murdaar jaanwar ka ghosht deti hy aur kahti hy isko paka kar
kha lo, Allah hamari haqeeqat ko jaanta hy"
.
.
Hazrat Rabi Bin Sulemaan (alaih rahmaan) farmate hain,"jab maine ye manzar dekha
to main pareshaan ho gaya,
.
main faurann aagey badha aur uss aurat se kaha,
"AYE ALLAH KI BANDI KYA TU NAHIN JAANTI K MURDAAR KHANA NAAJAIZ-O-HARAAM HY"
.
Us Aurat ne kaha,"TU KAUN HY, TU KAUN HY".
.
Aap farmate hain k maine usey bataya
.
"MAIN EK PARDESI HU, EK MUSAFIR HU, YAHAAN SE GUZAR
RAHA THA, TUJHE DEKHA MAINE, TU MURDAAR KHACHCHAR KA GHOSHT KAAT RAHI THHI TO MAINE
TERA TA'AQQUDD KIYA."
.
Aap aagey farmate hain k maine us se kaha k
"MAJUSIYONN" (Magicians) k ek firke k elawa
tamaaam logonn k nazdeeq murdaar khana naajaiz wa haraam hy"
.
.
Uss aurat ne kaha:

"HUM JAANTE HAIN K ISLAAM MEIN MURDAAR KHANA HARAAM HY,

LEKIN KYA TU YE NAHINN JAANTA K HUM "AALE RASOOL" HAIN,

HAMARA TAALLUQ KHANDAANE NABUWWAT SE HY,

HUM SAYYAD GHARAANEY SE HAIN,

AUR ISLAAM K EHKAAM KO JAANTE HAIN,

INN BACHCHIYONN KE WAALID BAHOT NEK THHEY,

WO INTEQAAL FARMA CHUKE HAIN,

UNNHO(NN) NE JO TARQA (SAAZ-O-SAAMAAN)
CHHODAA THHA,

WO KHATM HO CHUKA HY,

MUFLISI KA AALAM HY,

KAYI DINO SE HAMNE KHANA BHI
NAHI KHAYA,

HUM JAANTE HAIN K MURDAAR KHANA HARAAM HY LEKIN HAALAT-E-IZTERAAR MEIN KHANA
JAAIZ HO JAATA HY (majboori k aalam mein mudaar khana jaaiz ho jaata hy),

4 DIN SE HUM
NE KUCHH NAHI KHAYA, HAMARA 4 DIN KA FAQA HY"
.
.
Hazrat Rabi bin Sulemaan (alaih rahmaann) farmaate hain k jab uss aale rasool ki
zabaan se maine ye baat suni to meri aankhon se ashko ki barsaat jaari ho gayi,

maine rona shuru kar diya, rota huaa main wahaan se laut aaya, maine kaha k abb main hajj par
nahin jaaunga.
.
Waapas aakar maine bhai ko bataya k maine hajj par jaane ka irada tarq kar diya hy.
.
Aap farmaate hain k bhai ne jab ye suna to mujhe samjhaya,"nahi nahi, aisa harghiz na
karna, HUZOOR-E-AKRAM (sallallaho alaih wasallam) irshaad farmaate hain,


"JO SHAKHS HAJJ
KARTA HY, USS K AGLE PICHHLE TMAAM GUNAHONN KO ALLAH MUAAF FARMA DETA HY."

 tum hajj ka
irada tarq na karo"
.
.
Aap farmate hain k bhai ne badi hausla afzaayi ki, lekin maine irada kar liya tha k ab main hajj par nahinn jaaunga.
.
Aap farmaate hain k us waqt mere paas 600 naqd dirham maujood thhey, chand kapde thhe ehraam ki do chadareinn
thhi(nn), wo 600 dirham lekar main baazaar gaya , 100 dirham ka AA(N)TA khareeda, 100 dirham ka kapda khareeda,
.
baaqi jo 400 dirham bachey wo maine uss AA(N)TEY mein chhupa diye, jo kuchh bhi mere paas thha wo sab kuchh lekar
main uss aale rasool k ghar k darwaazey par pahuncha,
.
maine darwazey par dastak di,
.
Us KHATUN ne darwaza
khola,
.
MAINE KAHA,"yahi mere paas hy ye ab kuchh aap rakh leejiye".
.
Jab unhon ne dekha k 400 dirham aur fir aa(n)ta aur firr kapda , ye sab kuchh ye de raha hy, to us khatun ne dil se
DUA di,
.
USNE KAHA,"Allah tujhe HAJJ ka sawaab ataa farmaaye, Allah tujhe do-guna ajr ataa farmaye, Allah tujhe
duniya mein hi iska ne'emul-badl dikha de."
.
Us Khatun ki charo(nn) betiyonn ne dua di,
.
ek beti ne dua di,"ALLAH KAREY K TERA HASHR HAMREY NAANA JAAN
 K SAATH HO"

(SALLALLAHO ALAIH WASALLAM).


Aap farmaate hain jab main wahaan se waapas aaya to Kufa mein apne maqaam par pahuncha jahan maine qayaam
kiya huaa tha, Hajj k kaafiley ja chuke thhe.
.
Aap farmate hain k mere dil mein tamannayein machal rahi thhii(nn) k kaash k mera bhi bulawa aa jaata .
.
Ab Aap ne ye irada kiya
k jab karwaaney hajj wapas aaenge tab main har har HAJI ka isteqbaal  karunga,
unn se duaaein lunga kyun k unn ki duaaein
Rabb ki baargaah mein maqbool hain.
.
.
Aap farmate hain k kuchh waqt k baad kaarwaane hajj waapas aana shuru ho gaye, main haajiyonn k isteqbaal k liye gaya,
jab main haajiyon se mila to maine kaha,"ALLAH TUMHARA HAJJ QUBOOL FARMAAYE, TUMHEIN ALLAH NE HAJJ KI
SAADAT SE NAWAZA HY, ALLAH TUMHARI IBAADATONN KO QUBOOL FARMAAYE, TUM MERE LIYE DUAAEIN KARO"
.
.
Aap farmate hain k jin ka main isteqbaal karne gaya tha, un logon ne ,
un Hajiyonn ne kaha,
.
"KYA BAAT KARTA HY ?,
KYA KAHTA HY ?,
KYA TU YE KAHNA CHAHTA HY K YU HAJJ PAR
NAHI GAYA THHA,
.
"ARAFAAT MEIN HAMARE SAATH KAUN THA,
.
MATAAF MEIN HAMARE SAATH KAUN THA,
.
RAME'E-O-JAMRAAT MEIN HAMARE SAATH KAUN THA,"
.
TU HAMARE SAATH TAWAAF BHI KARTA THHA,
.
SHAITANO KO KANKARIYAAN BHI MAARTA THHA,
.
AREY! TU TO HAMARE SAATH THA.
.
.
Aap farmate hain k main HAIRAAN-O-PARESHAAN "Allah ye Kya maajra hy ... !
Allah ye kya Mas'ala Hy ... !
Mere Khudaya ... ! Main to KUFE mein hu(nn) Or Ye kahte hain main HAJJ par gaya thha ...
.
.
Aap farmate hain k itne mein main dekhta hu k mere shaher k Kaafiley bhi waapas aa rahe hain, Maine Unse Mulaaqaat Ki
or
Unse Kaha
"Mere liye dua karo, Allah ne tumhara HAJJ qubool kiya hy, Main tumhare liye dua krta hu, tum mere liye dua karo ...
.
.
Wo Haji Kahte Hain,
.
"YE TUMHARI TUMHARI KYA KAH RAHA HY,
KYA TU HAMARE SAATH NAHI THA,
.
TAWAAF K WAQT TU HAMARE SAATH THA,
.
ARAFAAT K MAIDAAN MEIN TU HAMARE SAATH THA,
.
IBAADAT MEIN TU HAMARE SAATH THA,
.
MUZ'DALFAA MEIN TU HAMARE SAATH THA,
.
MINA MEIN TU HAMARE SATH THA,
.
SAF'AA-MARWA PAR TU HAMARE SAATH THA ...
.
Aap farmate hain k maine unse kaha k,
"Arey main to Kufa mein rah gaya thha,
.
Itne mein ek saahab mere saamne aate hain wo kahte hain,
.
"Tum ye kahte ho k tum hajj par nhi gye thhe ...
.
AREY YE THAILI DEKH ... !
.
JAB MASJID-E-NABWI SHAREEF MEIN RISALAT MA'AAB (SALLALLAHO ALAIH WASALLAM) KI BAARGAAH MEIN HAAZRI KA SHARF HAASIL KARNE K BAAD, HUZOOR E AKRAM (SALLALLAHO ALAIH WASALLAM) KI MUWAJAH-E-AQDAS PAR BAAB-E-JIBRA'IL SE JAB HUM BAAHAR NIKLE TO BHEED (Crowd) BAHOT ZYADA THHI US WAQT TUNEY MUJHE YE THAILI DI THHI ...
YE THAILI AMAANAT HY ISEY WAAPAS RAKH LE ...
.
.
Aap farmate hain k main hairaan-o-pareshaan, Khuda ki kasam saari zindagi maine iss thaili ko dekha bhi nahi tha ...
.
.
maine thaili dekhi uss par likha thaa ...
.
"MAN-AAMALNA-RABEHA"
(Jo Hamare Saath Mu'aamla Karta Hy Naf'a Uthata Hy)
.
.
Thaili lekar
Main Ghar Waapas aaya,
Ish'a ki namaaz adaa ki,
Kuchh wazaaif thhe wo padhe,
Wazaaif padhne k baad main so gaya,
Aankh band huyi,
.
Dil Ki Aankh khul gayi,
Kismat ne Angdayi Li,
Kaunain K Waali, Huzoor Purnoor Sarkar Aqdas Aamina K Lakhte Jigar,
Muhammad-e-Arabi Sallallaho alaih wasallam Mere saamne Jalwa farma thhe...
.
AAQA MUSKURA RAHE HAIN,
MAINE SALAAM ARZ KIYA,
AAQA NE JAWAAB IRSHAAD FARMAYA,
MAINE DAST BOSHI KA SHARF HAASIL KIYA,
.
RASOOL-E-AKRAM (sallallaho alaih wasallam) ne irshad farmaya,
.
"AYE RABI BIN SULEMAAN ... !
AB KITNE GAWAAH CHAHTA HY,
KITNI GAWAAHIYA(NN) CHAHTA HY,
.
AREY ...! ITNE GAWAAH PESH KAR DIYE, FIRR BHI NHI MAANTA K TUNEY HAJJ KIYA HY,
TU HY KI TASLEEM NAHI KARTA ...
.
SUNN SUNN SUNN ... !
Jab meri AAL ki tuney khidmat ki thhi,
Meri AAL ki muhabbat mein,
Mere KHANDAAN ki muhabbat mein,
Jab tuney HAJJ ko MULTAWI kiya tha,
.
Tab Maine Usi Waqt Allah Ki Baargaah Mein Dast-e-Dua Buland kiye thhe ... k Maula Isko Iska NE'EMUL BADAL de de,
is ko is ka AJRR de de,
.
[ Teri Dua Na Asar Se Kabhi Maluul Huyi,
Idhar Zabaan Se Nikli, Idhar Qabuul Huyi ] ...
.
.
Jab Maine Ye Dua ki to ALLAH TA'ALA ne usi waqt ... teri surat ka FARISHTA paida kiya aur usey HUQM farmaya k meri HABEEB (sallallaho alaih wasallam) ki AAL se muhabbat karne waale ka Ajrr ye hy k
.
"AYE FARISHTE TU RABI BIN SULEMAAN KI SURAT MEIN QAYAMAT TAK 

HAR SAAL HAJJ KARTA RAHE

HAR SAAL HAJJ KARTA RAHE

HAR SAAL HAJJ KARTA RAHE"


.
AAQA (sallallaho alaih wasallam) ne aage irshaad farmaya k wo jo 600 dirham tuney diye thhe na,
Allah ne uss ka mutawatil doguna kar k tujhe de diya ...
.
.
Hazrat-Rabi Bin Sulemaan (alaih rahmaan) farmaate hain k AAKHIRI JUMLA JO MERE AAQA (sallallaho alaih wasallam) NE IRSHAD FARMAYA WO THA,
.
"MANN-AAMALNA-RABEHA"
jaise Huzoor e Akram Sallallaho alaih wasallam Ishara farma rahe ho k uss thaili ko na bhuulna wo jo BAAB E JIBRAIL par us farishte ne amaanat kah kar diya tha
wo amanat wo 600 sone [GOLD] ki Asharfiyaann Kahan Hain ... Wo Us Thaili mein hain.
Aaqa [sallallaho alaih wasallam] ne ishara farma diya.
.
.
.
Meri Aankh Khuli Maine Us Thaili ko Dekha,
Maine thaili ko khola to usme 600 Sone (GOLD) k dirham (Asharfiyann) maujood thhi ...
.
.
(Sallallaho Ta'ala Alaih Wa-Aalihi Wa-As-habihi Wa-baarik Wasallim)


Wa


(Rahmatullahi Ta'ala Alaih)
.
.
.
Iss Post ka Maqsad Bas Yahi Hy K HAJJ kariye Baar Baar kijiye Lekin Gareebonn ka Khayaal rakhiye
.
.
.

Dua:-
.
Maula Ta'ala Se Bas Yahi Dua Hy K Maula Wo Din Kabhi Na Aaye Jab Hum Daawato(nn) Mein Mashghul Honn Or Hamare Padosi (Neighbours) Faaqo(nn) mein mubtila ho(nn) ...
.
Maula Hum Sab Ko Hajj-e-Baitullah Ki Haazri Ka Sharf Haasil Ho, Hum Sabhi Ko Madina Tayyaba Ki Ziyarat Naseeb Farma ...
.
Maula Hum Sab Ko Huzoor (sallallaho alaih wasallam) se Or Aap (sallallaho alaih wasallam) Ki Aale Paak Se Sachchi Pakki Muhabbat Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaaye ...
.
(Jalla Jala Lahu wa Jalla Zikruhu)
.
.
.

Taalib-E-Dua:
.
.
Mohammad Faizan Raza Khan Warsi
Khadimaan-E-Maslak-E-Aala Hazrat
Puranpur (Pilibhit)

No comments:

Post a Comment