Thursday 9 June 2016

Taraweeh Padhne Ka Aasaan Tarika

   >> Taraweeh Padhne Ka Tarika <<


Mardo ko to taraweeh masjid mein
Imam ke pichhe jamaat se hi padhna hai, lekin agar koi kisi
majburi ki wajah se ghar par hi padh raha ho,to ye tarika
dekhiye,aur aurto ko to ghar par hi padhna hai.Ghar par ya
akele me taraweeh padhne ka tarika.


Taraweeh ki niyat is tarha karenge 

nawaitu sunnattat taraweeh.

Taraweeh isha ki namaz ke bad (3 witr se pahle)
padhenge,iske baad 3 witr padhenge, taraweeh ki 20 rakaat hoti hai, ye sunnatal moaqqida'hai, Ye 2-2 rakat karke padhenge,

Isme jo surah yaad ho wo padh sakte hain, bohot se
log Surah Alam-tara se surah naas tak padhte hain, is tarah 10 rakaat ho jati hai, Phir wapas 11wi rakat mein surah alam-tara padhte
hain, is tarah 20 rakaat hojati hai, matlab pehli 2 rakat namaz
ki niyat ki, usme pehli rakat me Alam-tara padh li, dusri rakat
mein surah quresh padhli,salam fer liya phir khade hogaye, phir
2 rakaat ki niyat ki ab "ara-ay-tallazi" padhi aur dusri rakat
mein 'inna aataina' padhi.yaha 4 rakaat hogayi,is tarah surah
naas tak padhte jayenge, surah naas tak 10 rakaat hojayegi,
phir11wi rakaat se wapas alam-tara se shuru kar denge to 20
rakaat hojayegi.
Jo ayat ka tarika bataya hai,aisa karna zaruri nahi,agar ye
tarika theek lage to is tarike se padhein,warna koi bhi surah
padh sakte hai. Agar saari ayat nahi aati ho to jo jo surah
yaad ho wo padh lo.ya fir surah ikhlas yani qulhuwallah 1 ya
3 bar padhlo.
Taraweeh ki jab 2-2 karke 4 rakaat ho jati hai tab baith kar
'taraweeh ki dua' padhte hain,phir iske baad 2-2 karke 4
rakaat padhenge.phir dua padhenge, matlab har 4 rakat ke
baad dua padhenge,is tarah puri 20 rakaat me 5 bar ye dua
padhenge.


Dua Ye Hy

>> Subhana Zil Mulki Wal Malakut,Subhana
Zil 'Izzati wal 'Azmati Wal Haybati Wal Qudrati Wal Kibriyaaee
wal Jabaroot. Subhanal Malikil Hayyil Lazee Laa Yanaamu Wa
laa Yamoot- Subbu-hun Quddu-sun Rabbuna Wa Rabbul
Malaaikatee War Ruh.Allahumma Ajirnaa Minan Naar-Ya
mujeeroo Ya mujeero Ya mujeer. <<



Jab taraweeh ki 20 rakaat
puri ho jayegi uske baad phir 3 rakaat witar padhenge. phir 2
rakaat nafil padhenge.
Isko likhne me koi galti na ho, is baat ki humne puri koshish
ki hai,lekin phir bhi kahi koi galti ho gayi ho to comment me
bataiye.Allah hum sabko saare roze aur taraweeh padhne ki
taufik ata kare, aur hamari ibadato ko kubul kare, aameen.

(sunni beheshti zewar)



#copied_MαℓαK ...

30 comments:

  1. Thnqu very much fr spreading ths islamic messge to evry 1 subhanallah may allah reward 😊gud thngs

    ReplyDelete
  2. JazakAllah bhai.. Allahuakbar.. Assalaatu Wassalaamu Alaika Ya Rasulallah SAW

    ReplyDelete
  3. MashaAllah bht acche se samjhaya hai

    ReplyDelete
  4. Thanku allah apko jazai khair de

    ReplyDelete
  5. Jazak Allahu khair....Apne itne ache se explain kiya.....shukriya

    ReplyDelete
  6. Mashallah thanks for updating

    ReplyDelete
  7. Jazakallah bahot aasan lafzon mein samjhaaye aapne.Allah aapko iski jazaa dein aameen

    ReplyDelete
  8. Taraweeh 8rakta bhi padsakte hai kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Taraweeh 20 Rakat hi padhni hai ..
      8 rakat wahabi padhta hai

      Delete
  9. Ye dua salaam pherne k baad aur dua se pehle tarawi ki dua parte hai??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ji, ye dua salaam pherne ke baad or dua mangne se pahle padhi jayegi,
      (Jawaab dene mein ta'khir ho gyi iske liye ma'azerat)

      Delete
  10. Ye dua salaam pherne k baad aur dua se pehle tarawi ki dua parte hai??

    ReplyDelete
  11. Ye dua salaam pherne k baad aur dua se pehle tarawi ki dua parte hai??

    ReplyDelete
  12. Do rakat padhne ke baad baith kar ahtahiyat aur darood ke baad salam pher lena hai ya koi dua?

    ReplyDelete
  13. Thank you so much for your guidance

    ReplyDelete