Tuesday 10 January 2017

HUZOOR GHAUS-E-PAAK [Alaih Rahmat-o-Wa-Ridhwan] Ki Shaan-E-Mubarak Mein Huzoor AALA HAZRAT (Rahmatullah Alaih) Ka Likha Hua Bahot Hi Khoobsurat Kalaam

HUZOOR GHAUS-E-PAAK [Alaih Rahmat-o-Wa-Ridhwan] Ki Shaan-E-Mubarak Mein Huzoor AALA HAZRAT (Rahmatullah Alaih) Ka Likha Hua Bahot Hi Khoobsurat Kalaam



Wah Kya Martaba Aye Ghaus hai bala tera
Unche Uncho ke saro se Qadam Aala tera
...

Sirr Bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
Auliya malte hai Aankhain woh hai Talwa tera
...

Kya Dabbe jispe himayat ka ho Panja tera
Sher ko khatre mei lata nahi Kutta tera
...

Tu Husaini Hasni kyu na Mohiyuddinn ho
Aye Khizar Majma e Baharen hai Chashma tera
...

Qasme de de ke khilata hai pilata hai Tujhe
Pyara Allah tera Chahane Wala Tera
...

Mustafe ke Tan e besaya ka saya dekha
Jisne Dekha meri jaann Jalwa e Zeba tera
...

Ibn e Zahra ko mubarak ho urus e Qudrat
Qadri paaye Tassadduq mere Dulha tera
...

Kyu na Qasim ho ke tu Ibn e Abul Qasim hai
Kyu na Qadir ho ke Mukhtar hai baba tera
...

Nabawi Minh, Alwi Fasl, Batuli Gulshan
Hasani Phool, Husaini hai Mahekna tera
...

Nabawi Zil, Alawi Burj, Batuli Manzil
Hasani Chand, Husaini hai Ujala Tera
...

Arz Ahwaal ki PYAASONN mein kahan TAAB magar
AANKHEIN Aye ABR-E-KARAM Takti hain rasta tera
...

Maut Nazdeeq, Gunaho ki tehe, Mail ke khol
Aa baras ja ke naha dhoole ye pyasa tera
...

Aab Aamad woh kahe aur mei tayammum barkhast
Musht e Khaaq apni ho aur Noor ka Aala tera
...

Jaan to jaate hi jaaeghi Qayamat ye hai
Ke yaha marne pe thehra hai Nazara tera
...

Tujhse dar, dar se sagh, aur sagh se hai mujhko nisbat
Meri gardan mei bhi hai duur ka dora tera
...

Is nishaani ke jo sagh hai nahi maare jaate
Hashr tak mere gale mei rahe patta tera
...

Meri qismat ki Qassam khaae sagane Baghdaad
Hind mei bhi ho to deta rahu pehra tera
...

Teri Izzat ke nisaar ae mere Gairat waale
Aa sadh aa ke yun khwaar ho barda tera
...

Badd sahi, choor sahi, mujhrim o nakara sahi
Hy wo kaisa hi sahi hai to karima tera
...

Mujhko ruswa bhi agar koi kahega to yunhi
Ke wohi na, woh Raza banda e Ruswa tera
...

Fakhr e AQA mei RAZA aur bhi ek nazm e rafi'e
Chal likha laae Sana Khwaano mei Chehra tera
...

— Kalaam E Aala Hazrat
[Alaih Rahmaann]

No comments:

Post a Comment