Friday 12 January 2018

GHAIR MEHRAMM MARD WA AURAT K DARMIYAAN BAAT-CHEET KA KYA HUQM HY?

.

TOPIC: GHAIR MEHRAMM MARD WA AURAT K DARMIYAAN BAAT-CHEET KA KYA HUQM HY?

.
☞ Ghair Mehram mard o aurat ki baat cheet aamne saamne ho,
☞ Mobile messaging ke zariye ho,
☞ Ya Social Media par chatting ho,
☞ Sab ke liye ALLAH Taala ne ek hi usool o zaabita muqarrar farmaaya hy
☞ Allah Taala ka farmaan hy:

.

ﻭَﺇِﺫَﺍ ﺳَﺄَﻟْﺘُﻤُﻮﻫُﻦَّ ﻣَﺘَﺎﻋﺎً ﻓَﺎﺳْﺄَﻟُﻮﻫُﻦَّ ﻣِﻦ ﻭَﺭَﺍﺀ ﺣِﺠَﺎﺏٍﺫَﻟِﻜُﻢْ ﺃَﻃْﻬَﺮُ ﻟِﻘُﻠُﻮﺑِﻜُﻢْ ﻭَﻗُﻠُﻮﺑِﻬِﻦَّ​
.
.

Tarjumah: "Aur jab tum un se kisi cheez kebaare mein poocho, to parde ki oot mein baatkaro. Yeh tumhaare dilon aur unke dilon keliye ziyadah pakeezah hai."
.
[Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 53]

.
.
Is se ma’loom hota hai ke ghair mehram mardaur aurat aapas mein kaam ki baat kar saktehain
.
.
.
Aur baat karne ka tareeqa yeh honachaahiye ke aurat parde ki oot mein ho
.

☞ Mobile, ya Messengers par call karte huwe, ya chat ke dauraan “parde ki oot” to maujood hoti hi hai. Han koi video call kar ke us “oot” kokhatm kar de to doosri baat hai
.
.
.
☞ Lekin doosri ahem cheez jo is Ayat mein bayan huyi hy woh lafz hain “KAAM KI BAAT”!
.
Jise aam taur se nazar-andaaz (ignore) kar diya jaata hai,
aur iskalihaaz rakhe baghair baat cheet ki jaati hai
.
.
Is Ayat e Kareemah mein hijaab ka zikr karne sepehle is ahem cheez ko bayan kiya gaya hy jis se wazeh hota hy ke ghair mehram mard oaurat ki aapas mein baat cheet sirf “ZAROORI AUR AHEM KAAM” se mutalliq honi chaahiye
.
.
Mahez “GAP SHAP” lagane ki ijazat Shari'at mein unkeliye nahi hai!
.
Khoob samajh len
.
.
.
Isi tarah doosre maqam par Allah farmaata hai:

ﻳَﺎ ﻧِﺴَﺎﺀ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﻟَﺴْﺘُﻦَّ ﻛَﺄَﺣَﺪٍ ﻣِّﻦَ ﺍﻟﻨِّﺴَﺎﺀ ﺇِﻥِ ﺍﺗَّﻘَﻴْﺘُﻦَّ ﻓَﻠَﺎﺗَﺨْﻀَﻌْﻦَ ﺑِﺎﻟْﻘَﻮْﻝِ ﻓَﻴَﻄْﻤَﻊَ ﺍﻟَّﺬِﻱ ﻓِﻲ ﻗَﻠْﺒِﻪِ ﻣَﺮَﺽٌ ﻭَﻗُﻠْﻦَﻗَﻮْﻻً ﻣَّﻌْﺮُﻭﻓﺎً​
.
Tarjumah: Aye Nabi ki biwiyo! Tum aam aurtonjaisi nahi ho, agar tum Allah se darti ho, topur-kashish lehje mein guftgu na karo, warnajis ke dil mein marz hai woh tama' lagabaithega. Aur maroof baat kaho
.
.
[Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 32]
.
.

Is aayat mein ALLAH Taala ne ghair mehram(onn)se guftgu karne ke liye mazeed do usool bayanfarmaaye hain :

.
1. Lehja pur-kashish na ho
.
2. Maroof baat ho
.
.
.
Yani agar koi aurat guftgu ke dauraan aise lehjemein baat kare jis se mardon ke dil mein “ishq”ka marz janam le sakta ho,

to woh lehja Shari'at mein haraam hai
.
Isi tarah tehreeri (written) guftgu mein bhi is baat ka khayaal rakhna zaroori hai ke aise alfaaz se bacha jaaye jo sinfi kashish ka sabab bante hon
.
Aurjo guftgu mard o aurat kar rahe hain woh maroofyani Behad Zaroori, achchaayi,
bhalaayi aur neki ki guftgu ho( Jise Shari'at e Islaamiyyah mana nahi karti. )
.
.
☞ Upar zikr kiye qawaaid o zawaabit ka khayaalrakh kar ghair mehram mard o aurat aapasmein baat cheet kar sakte hain
.
.
.
☞ Is ummat ki sab se pakeezah khawateen yani Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki azwaaj e mutahharaat bhi ghair mehram mardon se inhi usoolon ko madd e nazar rakh kar guftgu farmati(nn) Aur isi tarah RasoolAllah Sallallahu AlaihiWasallam ki baraah e raast shaagirdaat yani Sahabiyat bhi inhi zaabiton ki paaband reh kar baat cheet kiya karti(nn)
.
.
So aaj bhi agar koi in zaabiton ki paabandi kare to unki guftgu mein koi harj nahi hy
.
.
YANI BAAT AISI HO KE:☞ Mard ko us aurat se ya aurat ko us mard se“khud” karna zaroori ho,
.
☞Guftgu ka andaaz pur-kashish na ho
.
.
☞ Maroof baat ho, aur hijaab ke ehkaamaat malhooz e khaatir ho to koi harjnahi hai
.
.
NOTE: Shaadi se pehle mangetar bhi “na mehram” hishumaar hote hain..

No comments:

Post a Comment