Saturday 2 December 2017

Mustafa Jaan E Rahmat Pe Lakhon Salaam (sallallaho alaih wasallam)

※BismillahirrahmaanirraheeM※
Mustafa Jaane Rahmat Pe Laakho
Salaam

—Sayyedi Aala Hazrat Alaih Rahmaan



Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n)
Salaam
Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho(n) Salaam

.

Mehre Charkhe Nubuvvat Pe
Roushan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im
Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe laakho(n)
Salaam

.

Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi
Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakho(n)
Salaam

.

Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f
Durood
Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze
Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta
Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul
Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee
(n)
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Asle Har Buudo Bahbood Takhme
Wajood
Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad
Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori
Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho(n) Salaam

.

Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo
Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi
Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho
(n) Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Kanze Har Bekaso Benawa Par
Durood
Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho(n) Salaam

.

Partave Isme Zaate Ahad Par
Durood
Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Mat-La’e Har Sa’adat Pe As’ad
Durood
Maqtae Har Siyadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho
(n) Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum
Kun Ana
Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
Jam’a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar
Durood
Izzate Baade Zillat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Rabb E Aala Ki Ne’amat Pe Aala
Durood
Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad
Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Farhate Jaane Mo’min Pe Behad
Durood
Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
Illate Julmo Illat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar
Durood
Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n)
Khili
Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Qadde Be-Saaya Ke Saya E
Marhamat
Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n)
Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Uss Sare Taaje Rif’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk
Sa
Lakka E Abre Raafat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale
Wo Kaan
Kaan E La’le Karamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Chashma E Mehr Me Mouje Noor E
Jalaal
Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa’adat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba
Jhuki
Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Unki Aankho(n) Pe Wo Saaya Afghan
Miza
Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ashq Baari E Mizga(n) Pe Barse
Durood
Silke Durre Shafa’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ma’ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa
Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa
Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya
Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad
Durood
Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha
Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh
Ka Araq
Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara
Faban
Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Rishe Khus Mu’atadil Marham E
Reshe Dil
Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
Un Labo(n) Ki Nazakat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E
Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane
Us Julale Halavat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji
Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Uski Baato(n) Ki Lazzat Pe Laakho(n)
Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Woh Dua Jiska Joban Bahaar E
Qubool
Us Naseem E Ijabat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jinke Guchche Se Lachche Jhade
Noor Ke
Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiski Taskee(n) Se Rote Hue Has
Pade
Us Tabassum Ki A’adat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki
Rawa(n)
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane
Sharaf
Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Hajre Aswad Ka’aba E Jaan O Dil
Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar
Diya
Mouje Behre Sama’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah
Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ka’aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono
Sutoo(n)
Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Har Khat Main Hai Mouje
Noor E Karam
Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Noor Ke Chashme Lehraye Dariya
Bahee
Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke
Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Raf’a E Zikre Jalalat Pe Arfa’a
Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu
Kahu
Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti
Ghiza
Uss Shikam Ki Kana’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar
Bandhi
Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle
Karam
Sham’e Raah E Isabat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Khayi Quraa(n) Ne Khaaqe Guzar Ki
Qasam
Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka
Chaand
Us Dil Afroz Sa’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
Yaadgari E Ummat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Zar’e Shadab E Har Zar’e Pur Sheer
Se
Barkaate Reja’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n) Kare
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad
Durood
Burje Maah E Risalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki
Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par
Durood
Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Fazl E Paidaishi Par Hamesha
Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakho(n)
Salaam

.

A’etela E Jabillat Pe Aala Durood
A’etedal E Tivayat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Be Banavat Adaa Par Hazaro
Durood
Be Takalluf Malahat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Bhini Bhini Mahak Par Mahakti
Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree(n)
Durood
Achhi Achhi Isharat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro(n)
Durood
Saadi Saadi Tabi’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar
Me
Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
Us Jahangeer E Ba’sat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne
Lage
Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Lutf E Bedari E Shab Pe Behad
Durood
Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori
Durood
Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim
Durood
Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk
Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche
Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha
(n) Hilaal
Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shore Takbeer Se Thar-Tharati
Zamee(n)
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Na’araha E Dilera(n) Se Ban Gunjte
Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati
Sadaa
Mustafa Teri Soulat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-
Baaziya(n)
Shere Gurrane Satvat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakho
(n) Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami
Durood
Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Unke Maula Ki Un Par Karoro(n)
Durood
Unke As-habo Itrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka
Khameer
Unki Be Lous Tinat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
Haj-La Aara E Iffat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher
Ne
Uss Rida E Nazahat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n)
Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre
Nida
Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E
Nabi
Chaashni Geer Ismat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu
Kabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Durre Durje Najaf Mehre Burje
Sharaf
Range Ru E Shahadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par
Durood
Pard Giyyane Iffat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno
Amaa(n)
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
Us Saraa E Salamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Manzillum Min Kasab La Nasab La
Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
Us Hareem E Bara-at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
Unki PurNoor Surat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na
Jaaye
Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sahm’e Taabaane Kaashaana E
Ijtehaad
Mufti E Chaar Millat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par
Durood
Haq Guzaaran E Bai’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda
Mila
Uss Mubarak Jama’at Pe Laakho(n)
Salaam

.

Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe
Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida
Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E
Nabi
Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jaahid E Masjid E Ahmadi Par
Durood
Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Durre Mansoor Quraa(n) Ki Silke
Bahee
Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Yaani Usmaan Saahab Kamees E
Huda
Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle
Khuda
Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shere Shamsheer-J(a)n Shahe
Khaibar-Shikan
Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O
Khurooj
Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h
Sab
Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jis Musalmaa(n) Ne Dekha Unhe Ik
Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH
Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E
Tahur
Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shafa’e Maaliki Ahmad Imam E
Haneef
Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil
Durood
Haamilan E Shariat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ghouse Aazam Ima Muttuka
Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Kutbe Abdaalo Irshaad O
Rushdurshaad
Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad
Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya
(n)
Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Sayyid Aale Muhammad Imamur
Rashheed
Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa
Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal
O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Noor-Jaa(n) Itre-Majmu’a Aale
Rasool
Mere Aaqa E Ne’amat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda-E Nange Khilqat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Ek Mera Hi Rehmat Me D’awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n)
Salaam

.

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad
Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho
(n) Salaam

.

Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa
Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n)
Salaam


Sallallaho Ala Habibihi Muhammadinw-wa-Aalihi-wa-Asahabihi-wa-Ahle-Baitihi-Wa-Auliya-e-Millatihi-wa-Baarik Wasallam

No comments:

Post a Comment