Monday 13 July 2015

Imaan Muqaddam Hai

Imaan Muqaddam Hai

''Amaal ki Qubooliyat Imaan ki salamati wa pukhtagi par hai jab Imaan mazboot Nahi ya Imaan hi nahi to saare aamaal bekaar hain, Isliye pahle Imaan o Aqeede ka durust hona yaani Aqeede ka ahle sunnat wa jamaat k mutabiq hi hona chahiye.''

Imaam e Ishq o Mohabbat Sarkaar Sayyadi AALA HAZRAT Rahmatullah alaih, ''Almalfooz'' mein irshaad farmaate hain k Qayaamat k din ek shakhs baargaahe rabbul izzat mein pesh hoga,  us se sawaal kiya jaayega k kya laaya? Wo shakhs kahega '' maine farz namazo k elawa itni namazein padhin, Maahe Ramzaan k roozon k elawa itne roze rakhe, iss iss qadr khairat ki zakaat k elawa, farz hajj k elawa itne hajj kiye. ''
Irshaad e baari-e-taala hoga, ''KABHI MERE MAHBOOB(ON) SE MOHABBAT OR MERE DUSHMAN(ON) SE ADAAWAT BHI RAKHI?"
(Pata chala k umr bhar ki ibaadat ek taraf, KHUDA-O-RASOOL AUR UN K PYAARO ki mohabbat ek taraf AGAR MOHABBAT NAHI TO SAB IBAADAT WA RIYAAZAT BEKAAR H)

[Almalfooz Part 1 Page no. 107]


NAMAAZ KI BARKATEIN

NAMAAZ JANNAT KI KUNJI H (MUSLIM SHAREEF)
NAMAAZ PYAARE NABI SALLALLAHO ALAIH WASALLAM K AANKHON KI THANDAK H
NAMAAZ IMAAN KI ALAAMAT H
NAMAAZ ANDHERI QABR KI TANHAAI MEIN HAMAARI MADADAGAAR AUR NOOR H
NAMAAZ GUNAAHON KA KAFFAARA H



TAMBEEHUR-RIZAAL mein h k jo momin paancho(n) namazo(n) ko un k waqto(n) par adaa kare aur kabhi koi namaaz kazaa na kare to aise shakhs ko ALLAH TAALA 13 (Terah or thirteen) Nemato(n) [blessings] se nawaazta h:

  • USKO ALLAH WA RASOOL KI KAAMIL MOHABBAT HAASIL HOTI HAI
  • USKA BADAN BIMAARIYON SE MAHFOOZ RAHTA HAI
  • FARISHTE USKI HIFAAZAT PAR MAAMOOR KAR DIYE JAATE HAIN
  • USKE GHAR BAAR MEIN KHAIRO BARAKAT KA NUZOOL HOTA HAI
  • USKE CHEHRE PAR NOORANIYAT AA JAATI HAI
  • QABR K AZAAB SE BACHAYA JAAEGA
  • PULSIRAAT SE BIJLII KI TARAH GUZAR JAAYEGA
  • ALLAH TABARAKA WA TAALA USEY AZAAB E DOOZAKH SE AMAAN ATAA FARMAAYEGA
  • HISAABO KITAAB MEIN SAKHTI NA HOGI
  • HUZOOR E AQDAS MOHAMMAD MUSTUFA SALLALLAHO ALAIH WASALLAM KI SHAFAAT NASEEB HOGI
  • ALLAH TAALA USEY IZZAT ATAA FARMAAYEGA
  • ALLAH USEY WALIYO(N) KI JAMAAT MEIN RAKHEGA
  • SAB SE BADH KAR AAKHIRAT MEIN ALLAH RABBUL IOZZAT K DEEDAAR SE SARFARAZ HOGA
                                                                                   [TAZKIRATUL AULIYA]





[FROM THE BOOK: KAAMYAABI DONO JAHAN KI WA AAKHIRAT K PHOOL
WRITTEN BY: ABDUL KAREEM NOORI RAZWI
MOHTAMIM: MADARSA FAIZAN-E-QADRIYA (PILIBHIT SHAREEF. U.P.) ]

No comments:

Post a Comment