Friday 9 December 2016

HAZRAT E HASAN BASRI RAHMATULLAHI TAALA ALAIH KI TAUBA KA WAAQYA


TAUBA KA WAAQYA

.
.
HAZRAT KHWAJA HASAN BASRI (Rahmatullahi taala alaih) Ki Tauba Aur UMMAT KI BETI
.
.
.
Hazrat e Hasan Basri (rahmatullahi taala alaih) apni tauba ka waqya bayaan farmaate hain,
.
Wo farmate hain,"Main ameer kabeer shakhs tha, Shaher BASRA ki galiyon mein gareebo(nn)
or miskeeno(nn) ki madad kiya karta tha.
.
Ek din Achanak maine ek haseen Aurat ko dekh liya aur main usey dekhta hi rah gaya...
.
Us Aurat ne mujh se kaha,"(ANAA TASHTAHI) TUJHE SHARM NAHINN AATI"
.
Maine kaha,
"(MIMM_MAN) KIS SE SHARMAAU(NN)"?
.
Usne kaha,
"WOH, JO AANKHOO(NN) KI HAYANAT KO DEKHTA HY AUR DILO(NN) KE POSHIDA RAAZO(NN)
KO JAANTA HY, KYA TUJHE SHARM NAHI AATI, KYA TUJHE HAYAA NAHI(NN) AATI"?
.
Hasan Basri (rahmatulla alaih) Farmaate hain k uska jumlaa to bahot bada tha, Lekin woh
itni HASEEN thi aisi KHOOBSURAT thi, main firr bhi musalsal usey dekhta raha aur dekhta
hi rah gaya ...
.
Aur firr aakhir-kaar usne kaha,"KYU BAAR BAAR MUJHE DEKHTA HY".
.
maine kaha,"TERI AANKHEIN ITNI KHOOBSURAT HAIN, K TERI JHEEL JAISI INN AANKHONN MEIN DUUBNE
KO JEE CHAHTA HY"
.
.
us Aurat ne kaha,"ACHHA, TU AISI BAAT KARTA HY, TU YAHAAN INTEZAAR KARR".
.
wo Aurat apne ghar mein chali jaati hy, thodi der ke baad uski khadima aati hy, uske haath
mein ek TASHT hy upar kapda pada hy
.
Aap farmate hain k jab maine wo kapda uthaya to usmein uski dono aankhein thhi(nn), usne
apni AANKHEIN nikal kar apni khadima ko de di k inn AANKHONN ki wajah se iss ka dil deen se
duur hua hy mujhe ye aankhein nahiinn chahiye.
.
Aap farmate hain k saath mein ek KAAGAZ bhi tha jis par likha hua tha k mujhe aisi aankhonn
ki zaroorat nahinn jis ki wajah se ek mard fitne mein mubtila ho jaaye
.
.
.
MERI JO BHI MUSALMAAN BAHENEI(NN) ISS WAQYE KO PADH RAHI HAIN, UN SE MERI PURKHULUUS GUZARISH
HY WO JO GHANTOONN AAINEY (mirror) KE SAAMNE KHADI RAHTI HAIN, FAQAT ISS NIYAT SE K APNE BAALO(NN)
KO YUNN SANWAREIN K MARDOO(NN) KO FITNEY MEIN MUBTILA KAREIN YA KISI DUKAAN PAR JAA KAR KAPDE (clothes)
KHAREEDTE WAQT UNKE ZAHEN MEIN FAQAT YAHI KHAYAL HOTA HY, AESE KAPDO(NN) KA INTEKHAAB KARENGI JIN SE
MARDO(NN) KO FITNEY MEIN MUBTELA KARENGE,
.
.
ye bhi ummat ki BETI hain ALLAHU AKBAR... k jis ki ek adaa se ek shakhs WALI-E-KAAMIL ban gaya...
.
Hazrat Hasan Basri (rahmatullah alaih) aagey frmate hain,"jab maine tasht mein uski aankhein dekhin,
main tahaqqum kho baitha, main zaar-o-qataar ro raha tha, rotey huye main ghar chala gaya,
puuri raat main rota raha, puuri raat main TAUBA karta raha, ISTAGFAAR karta raha,
fajr ki azaan suni, achanak khayaal aaya k USS AURAT KA SHUKRIYA TO ADAA KAR DUUN K JISNE APNI
AANKHEIN MERE LIYE, MERE IMAAN KE LIYE, MERE DEEN K LIYE AUR TAUBA PAR ISTEKAAMAT KI KHATIR
QURBAAN KAR DI...
.
FRMATE HAIN,"main uss k ghar gaya jyunhi us k ghar pahuncha to udhar uss ka janaza nikal raha tha,
us ki maut waqe ho chuki thi.
.
aage FARMATE HAIN,"agli raat jab main ghar aaya, aakar so gaya, meri aankhein band huyi(nn), maine
us nek khawateen ko khwaab mein dekha...
.
MAINE KAHA,"koi naseehat kar".
USNE KAHA,"jab tanhayi mein ho ALLAH ka zikr karte raho aur jab subha utho to ISTEGFAAR karo, shaam
k waqt ISTEGFAAR karo".
.
AAP FARMATE HAIN maine uss waqt tauba kar li, EK AURAT MERI TAUBA KI SABAB BANI, EK AURAT KI WAJAH SE
MUJHE TAUBA PAR ISTEQAMAT MILI.
.
.
ALLAH HAMARE SEENO(NN) MEIN DEEN SE SACHCHI PAKKI MOHABBAT KARNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAYE,
HAMARE NAUJAWANAN-E-ISLAAM KO SHAITAAN K SHAR SE MAHFOOZ RAKHE OR FITNO MEIN MUBTILA HONE SE BACHAYE
AUR
UMMAT KI TAMAAM BAHNO(NN) KO AISI NEK KHWATEEN K JAISI SHARM-O-HAYAA WAALI ZINDAGI GUZARNEY KI TAUFEEQ
ATAA FARMAYE.
.
[SALLALLAHO ALAA HABEEBIHI MUHAMMADINW-WA-AALIHI WA BAARIK WASALLIM]
.
AAMEEN YA RABBAL AALAMEEN
.
Talib-e-Duaa:
.

Mohammad Faizan Raza Khan Warsi
Khadimaan_e_Maslake Aala Hazrat
Puranpur (Pilibhit)

No comments:

Post a Comment