Tuesday 2 August 2016

Janaze Ke Taalluq Se Kuchh Ahem Suwalaat Ke Jawaabaat

Janaze Ko Kandha Dene Ka Sawab




Hadees:

Jo Janaze Ko 40 Qadam Lekar Chale Uske 40 Kabirah Gunah
Mita Diye Jaate Hain
Hadees Shareef Me
hai
Jo Janaze K Chaaro Paayon Ko Kandha De ALLAH Uski Hatmi
{Yani Mustaqil} Maghfirat Farma Dega


[Durre Mukhtar Jild 3 Page 158,159
Bahare Shariyat Jild 1 Page 823]



Janaze Ko Kandha Dene Ka Tareeqa



Janaze ko kandha Dena Ibadat He Sunnat Tareeqa Ye Hai
Ki Ek Ek Karke
Chaaro Paayon Ko Kandha Dein Aur
Har Baar 10,10 Qadam Chale Poori Sunnat Tareeqa Ye He Ki
Pahle Seedhe Sirhaane Kandha Dena
Shuru Kare
Fir Seedhi Payiti (Yaani Sidhe Paaun Ki Taraf) Fir Ulte
Sirhaane Fir Ulti Payiti Aur 10,10 Qadam Chale To Kul 40
Qadam Huwe



{Fatawa e Alamgiri vol 1 Page 162 Bahare Shariyat Jild 1
Page 822}




Kuchh Log Janaze K Juloos Me Eilaan Krte Rahte Hain
2,2 Qadam Chalo Unko Chahie Ki Is Tarah Ka Eilaan Kia
Karen
“10,10 Qadam Chalo”
Bachche Ka Janazah Uthane Ka Tareeqa
Chote Bachche K Janaaze Ko Agar 1 Shakhs Hath Par
UthaKar Le Chale To Harj Nhi Aur
Ek Ek Karke Log Hathon Hath Lete Rahen

(Fatawa e Alamgiri vol 1 Page 162)



Kya Shohar Bivi K Janaze Ko Kandha De Sakta Hy



Shohar Biwi Ke Janaze Ko Kandha Bi De Sakta Hy
Aur Qabr Me Bhi Utaar Skta Hy
Aur Munh Bhi Dekh Skta Hy
Sirf Gusal Dene Aur Bila Haail Badan Ko Chhoone Ki
Muman’at(Manahidi) Hai

Aurat Apne Shohar Ko Ghusl
Bhi De Sakti He



{Bahare Shariyat Jild 1 Page 812, 813}

No comments:

Post a Comment