Thursday 9 June 2016

Roze ke makhroohat ke bayaan

>> Roze ke makhroohat ke bayaan <<



Hadees– hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se
Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne
farmaya “ JO BURI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa
NAHIN ChhOdhE TO ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin
K Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai. 

(BUKHARI ,TIRMIZI
SHARIF)



Hadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t’aala anhu se
Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t‘aala Alaihi Wasallam
Ne Irshaad farmaya “rozah Uska naam Nahin k khaane peene
se baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda
baaton se bacha jaaye.
(Haakim)


Masla: Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat kisi ko
takleef dena k ye cheezein waise bhi na jaayez -o-haraam
hain roze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze
Mein karahat Aati hai


Masla:  Rozahdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya
chabana makrooh hai.



Masla:  chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka
shouhar bad mijaaz hai k namak kam wa zyaada hoga to
naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.


Masla: chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj
hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se
thoda kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega .
balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara bhi LazIm
hoga.


Masla: chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar
Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein
Kuch Na Jaane Paaye Warna Rozah Toot jaayega


Masla: T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer
game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card,
ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah
hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi
makhrooh hota hai.


Masla: gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein
tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.


Masla: Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise
aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.


Masla: roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal
makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi
to Rozah toot gaya.


Masla: rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani
charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.
Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le


Masla: thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne
makhrooh Nahin



Masla: munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh
hai



#copied_MαℓαK ...

No comments:

Post a Comment